Ek Taza Hikayat hai sunlo To inayat hai
Ek shakhs ko chaha tha,
Taaron ki tarha humne
Ek shakhs ko chaha tha,
Apno ki tarha humne
Ek shakhs ko samjha tha,
Phoolon ki tarha humne
Wo shakhs qayamat tha kea,
Uski karein batein
Din us ke liye paida, Aur
Uski hi thi ratein
Kum milta kisi se tha,
Hum say thi mulaqatein
Rung uska shahabi tha,
Zulfon mein thi mehkarein
Aankhen theen ke jadu tha,
Palken theen ke Talwaaren
Dushman bhi ager dekhey,
So jaan say dil harain
Kuch Tumse wo milta tha,
Baton mein shabahat thi
Haan tumsa hi lagta tha,
Shokhi mein Sharart mein
Lagta bhi tumhi sa tha,
Dastoor e Mohabbat mein
Wo shakhs aik din humen,
Apno ki tarha bhoola,
Taaron ki tarha dooba,
Phoolon ki tarha toota,
Phir hath na aya wo,
Humne to bohut dhunda!
Tum kis liye chonkey ho ?
Tum kis liye chonkey ho! Kab ziker tumhara hai
Kab tumse takaza hai, Kab tumse shikayat hai
Ek Taza Hikayat hai sunlo, To inayat hai
Ek Shakhs ko chaha tha,
Taaron ki tarha humne
Ek shakhs ko chaha tha,
Apno ki tarha humne
Ek Taza Hikayat hai sunlo, To inayat hai..
Sab kuch kho kar bhi
Asani se koi mil jaye to wo kismat ka sath hai,
”Dosto”
Sab kuch kho kar bhi,
jo na mily usay mohabbat kehtay hain.
Khabar nahi thi
Khabar nahi thi Jo khuwab mein hai
Wo khuwab mein bhi na mil saky ga
Khabar nahi thi kisi bhi rutt mein bhi
Ye phool dil ka na khil saky ga
Wo un-kahi thi ke na rasai
Jo qurbaton ka na aya mousam
Ye phool dil ka na khil saky ga
Jo qurbaton ka na aya mousam
Wo un-kahi thi ke na rasai
Jo qurbaton ka na aya mousam
Ye mein ne socha kabhi nahi tha
Ke sochne ki saza mily gi
Muhabbaton ki praayi, baarishon mein
Bheegne ki saza mily gi
Badal geya hai qareeb aa ke
Khuwahishon mein nahaya mousam
Ke sochne ki saza mily gi
Bheegne ki saza mily gi
Khuwahishon mein nahaya mousam
Tum aag bujhana kiya jano
Dikhla ke jhalak ruposh huwe
tum sath nibhana kiya jano,
Tum aag lagani seekh gaye
tum aag bujhana kiya jano!
Kisi ko jeeta kaise jata hai ?
Kisi ko jeeta kaise jata hai ?
Apna dil haar kar.
Aur dil kaise haara jata hai ?
Apni zaat ko mitti mein mila kar.
Aur ager tab bhi wo na milay, Jiski tamna ho tou ?
Tou sabar kar liya jata hai, ALLAH kisi ki reyazat ko raegaan nahi karta.
No comments
Post a Comment
Comment with in Society Respect....
Thanks